Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Wednesday, December 17, 2008

MERI MAAN

MERI MAAN

Ajeeb tha tera pyar bhi…
Dant bhi aour maar bhi…
Kabhi to srapa maseeha lagey
Aour thi dost ki tarah ghumgusar bhi
Uljhaney barhin jo kabhi meri to….
Ley gai meri nayya ko wo par bhi..
Tanha jo kabhi main hui to…..
Diya mujhey tu ney MAAN ka pyar bhi
Aj bhi mujhey chahiye ………………
Tera man bhi tera dulaar bhi…..
AJEEB THA TERA PIYAR BHI
DANT BHI AOUR MAR BHI

KASH K ESA HUA KREY

KASH K ESA HUA KREY
MAIN SUB K LIYE
DUA KROON
AOUR
MEREY LIYE
SIRF TU
DUA KIA KREY

(EniTahir)

Saturday, December 13, 2008

Urdu Poem: Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho

Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?

Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?


Urdu Poem: Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho

Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?

Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?

Urdu Poem: ZameeN Thee Mairi Mager Aasmaan Us ka Tha

ZameeN Thee Mairi Mager Aasmaan Us ka Tha
Issi Liya Mujhay Khud Per Gumaan Us ka Tha

Main Ab Jo Dhoop Main Jalta HooN Ussi ka hai Karam
Main Jis kee ChaooN main Tha Saibaan Us ka Tha

Woh Jis K Waastay Lerta Raha Tha Main Sab Se
Mairay Khilaaf Hee Her Ik Biyaan Us ka Tha

Woh Jis ne Mujh ko Hamesha Hee Dala Mushkil Main
Yeh Pehli Baar Tha K ImtehaaN Us ka Tha

"Tum Mairi Jaan ho" Yeh Bhee Ussi ka Kehna Tha
"Tum Zakhm-i-Jaan ho" Yeh Bhee Biyaan Us ka Tha

Jo Roshni Ka Mukhalif Tha Sheher main Aatif
Tamam Sheher Se Roshan Makaan Us ka Tha

Urdu Poem: Jab raat ki naagin dasti hai

Jab raat ki naagin dasti hai
Nass nass main zehar utarta hai

Jab chand ki kirnain taizi say
Iss dill ko cheer kay aati hain
Jab aankh kay andarr hi aansoo
Zanjeeron main bandh jaatay hain

Sab jazbon parr chaa jaatay ho
Tab yaad bohat tum aatay ho

Jab dard ki jhanjharr bajti hai
Jab raqs ghamon ka hota hai

Khuwabon ki taal pay saaray dukh
Wehshat kay saaz bajatay hain
Gaatay hain khuwahish ki lae main
Masti main jhoomtay jaatay hain
Sab jazbon parr chaa jaatay hain
Tab yaad bohat tum aatay ho