Saturday, December 13, 2008

Urdu Poetry: Ashaar

Dost Jaisi Kabhi Dushmann Kee Tarah Lagti Hai
Zindgi Bhee Kissi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

Aik Lamhay Main Mairay Mann Ko Bhigo Daiti Hai
Uss Kee Her Baat Hee Sawan Kee Tarah Lagti Hai

Tu Bhee Ulfat Ke TakazooN ko Nahin Samjhi Hai
Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

____________________________________________________________________

chalo ham hii pehal kar dein ke ham se bad guman kyoun ho?
koi rishta zara si zid ki khatir raigaan kyoun ho?

sawaal aakhir ye ek din dekhna ham hi uthaeinge
na ho jisko zameen ka gham woh apna aasman kyoun ho?

mein zinda hoon to is zinda zameeeri ki badaulat hii
jo bole tere lehje me bhala meri zabaan kyoun ho?

hamari guftugu ki aur bhi simtein bohot sii hein
kisi ka dil dukhaane hii ko phir apni zabaan kyoun ho?

bikhar kar reh gaya hamse piyar ka khwaab hii warna
diye is ghar me roshan hon to us ghar me dhuwan kyoun ho?


___________________________________________________________________

Aur jab mein
bzahir mar jawo.n to tum mat rona
meray woh khat
nikalna parna aur muskra dena
aur
ager mujhay dekhnay ko dil chahay
to
apnay dil mein jank lena
yaqeen karo jana
mein jab tak tumharey dil mein hoon
kabhi mar nahi.n sakta
____________________________________________________________________

main tu mehdood se lemhao main meli thi usey
pher bhe wo kitani wazehat se mujhe soochata hai
main tu mer jaoo ager soochanay leg jaoo us ko
aur wo kitani saholet se mujhe soochata hai
agercha ab terk-a-marasem ko bohet der hui
ab bhe wo meri ajazet se mujhe soochta hai
kitana khush feham hai wo shakes ka her musam main
aik naeha rukh se mujhe soochata hai

____________________________________________________________________
Abhi to ishq mein aisa haal bhi hona hai
kay ashk rokna tum say muhal hona hai
har aik lab pay hain meri wafa kay afsanay
teray sitam ko abhi lazaval hona hai
baja key khaar hain lakin bahar ki rut mein
yeh tay hai key hemay bhi nehal hona hai
tumhai.n khabar hi nahin tum to lot jawo ghay
tumharey hijer mein lamha bhi saal hona hai
hamari rooh mein jab bhi azab utrai.n ghey
tumhari yaad ko is dil ki dahal hona hai
kabhi to roye gha woh kisi ki bahoo.n mein
kabhi to is ki hansi ko zaval hona hai
milai.n ghi tum ko bhi apney naseeb ki khushia.n
bus intezar hai kab yeh kamal hona hai
har ik shaksh chalay gha hamari rahoo.n par
muhabatoo.n mein hamei.n woh misaal hona hai
zamana jis key pech-o-khum mein ulaj jaye
hamari zaat ko aisa sawal hona hai
saqib yaqeen hai mujh ko woh lot aiye gha
isay bhi apnay kiay ka malal hona hai

___________________________________________________________________

wo kuch sunta tu main kehta mujhe kuch aur kehana tha
wo jo pal bar ko ruk jata mujhe kuch aur kehana tha
ghalt femhai nay bara dala yahohi warna
kia kuch tha wo kuch sumjha mujhe kuch aur kehana tha
kameyi zindagi bar ki us ka naam kyun ker dei
mujhe kuch aur kerna tha mujhe kuch aur kehana tha
kehan us na suni meri suni bhi unsuni ker de
usey malom tha itana mujhe kuch aur kehana tha
mera dil main dar aeya koi mujhe main daar aeya
wahen hi mera rabita tota mujhe kuch aur kehana tha
rawa tha pyar nas nas main qurbit thi aepass main
usey kuch aur sunana tha mujhe kuch aur kehana tha
___________________________________________________________________

1 comment:

  1. This article is an engaging abundance of instructive information that is fascinating and elegantly composed. I recognize your diligent work on this and thank you for this data. You have what it takes to get consideration. Allama Iqbal Poetry

    ReplyDelete